Baitha tha mai mann me mujhko aaya ek vichaar
Ki kaid se aazaadi mujhko chahiye abki baar
Dhunda maine hal padhe 100-100 akhbaar
Likhi khudki aazaadi kiya sapna sakaar
Aakaar diya jeevan maine mere hisaab se
Tajurba mujhko mila maine seekha na kitaab se
Jo aake mujhe bole kamayi teri kitni
Beta aajana maidan me ham darte nhi aapse
Sabr se bass kaam liya sabr se anjaam diya
Sabr ko besabr karke apna fal bass maang liya
Sabr me jo saath the bass unko maine thaam liya
Aur sabr se hi kabr banake kaid ko dafna diya
Jab kaid meri choot rahi thi aankhe meri nam thi
Mann me ek tha sawaal ki vo kyu na samjhi
Aaj manjar hi kuch hota aur poora hota khwaab
Par bandar nahi jaane kya hai adrak ka swaad
Aazaadi milti nhi karke badi badi baato se
Aazaadi likhni padti hai khud apne hi haatho se
Aazaadi me sukoon meri rago me vo khoon
Mai gulaam nhi kisi ka jo sar jhuk jaaye kaato se
Aazaadi milti nhi karke badi badi baato se
Aazaadi likhni padti hai khud apne hi haatho se
Aazaadi me sukoon meri rago me vo khoon
Mai gulaam nhi kisi ka jo sar jhuk jaaye kaato se
Aada tedha chalta nhi bass seedha saadha banda mai
Aade tedhe shabdo ko seedha karna hi dhandha hai
Auro ko giraane ka bhi rakha nhi iraada
Bass aasmaan ko choona hi ab meri tamanna hai
Saazisho se logo ki aazaadi lelo tum yaaar
Haatho se logo ki manmaani lelo tum haaaa
Raato ko sone ki khamosi lelo tum aur
Kandho pe zimme ko salami dedo tum yaaaa
Chhal se aazaadi dawaab se aazaadi
Chahiye kal se aazaadi jawab se aazaadi
Dena mann se aazaadi mere mann ko aazaadi
Iss duniya ko chain se jeene ki aazaadi
Ye sab kahani sachchi ghatna pe aadharit
Shiddat se datna usko kar dena prabhavit
Itni bhi kathor nhi teri zindagi
Lekin mehnat ke ank se karna padta hai parmarit
Aazaadi milti nhi karke badi badi baato se
Aazaadi likhni padti hai khud apne hi haatho se
Aazaadi me sukoon meri rago me vo khoon
Mai gulaam nhi kisi ka jo sar jhuk jaaye kaato se
Aazaadi milti nhi karke badi badi baato se
Aazaadi likhni padti hai khud apne hi haatho se
Aazaadi me sukoon meri rago me vo khoon
Mai gulaam nhi kisi ka jo sar jhuk jaaye kaato se
Andhera Kaid aur Aazaadi ek Zindagi ka hissa hai
Aaj mai to aazaad ho gaya
Par kya har koi inse aazaad hai