Aankho me hai aasmaan par kaise waha pahuchu mai
Kadd kathi hai choti lekin uuchi rakhu soch mai
Kehte hai ki kashtho se nikhar jaata hai aadmi
Par kashth bhi hai kashth me vo aansu kaise pochu mai
Do kash ke sahare kyu achcha usko lagg raha
Ya andar ka dhuaan hi bass usko hai samajh raha
Kehte hai ki dhumrapaan hota hanikarak
Phir bhi aadmi na jaane kyu usko hi sulagh raha
Vo rehta hai nashe me phir bhi hosh udaa dega
Apni yogyata ke dam pe sabme josh jaga dega
Kehte hai ki bin peedha fal meetha nhi milta
Usne peedha dekhli hai par fal meetha nhi dekha
No pain no gain bachche yahi sab hai seekhte
Seedhi saadhi baat ko bhi jor se hai cheekhte
Kehte hai ki beej jaisa booge vo kaatoge
Phir saamne karne me kyu aankho ko ho meechte