Pehle din vo nikla tha ghar se
Haatho me the kuch paise aur maa ka aashirwad
Uske kandho par bojh nhi par
Raaho ka pata nhi par aankho me dikhta vishwas
Mushkile na dekhi kabhi laad me raha
Jab duniya se mila to boli bhaad me tu jaa
Yaha se rejection kabhi waha se rejection
Usne khud ko kiya band aur vishwas toot gaya
Par aise nhi chalega kaam tujhko karna padega ab saamna
Kholke saare darwaze khudpe karna padega ab kaam ha
Darr ke jeene se hoga bhi kya
Gaane ka sapna tera tu sapne ko gaane me likhde
Raaho me jo kaate the vo nakaam koshish ke kisse
Kala ko jarurat teri jitni tujhe kala ki
Chor jo peeche choot gaya chal phirse tu shuruwat karde
Ya rejection is a truth of a life
Ya rejection is a key to the flight
Ya rejection se kuch hone wala nhi
Ya rejection is to come with a fight
Ya rejection is a truth of a life
Ya rejection is a key to the flight
Ya rejection se kuch hone wala nhi
Ya rejection is to come with a fight