Akhien meri laal jora haath mein
Nashon mei behaal para raat se
Ati nahi thi neend mujhy raat bharr
Thapki deti thi tu apnay haadsay
Mein likhta ganay uspe koi toh usay batana
Khuda hi janay mere jazbaton ab na koi thikana
Khush hain wo rehkar door ab kuch saalon se
Milgyi khushi karke manmani?
Tere haton dekhi hoti mainy apni barbadi
Tere agy jana rehti mujhy khudki parwa nai
Dil ki dehleez hai veerani tu aake karde isay abaad
Aisay kiu hogye ho tum laaptaa
Dhoonde ye dil ab tujhko tu laut aaa
Thandi raaton ko Zulfon mein teri
Pyaar ke daway karke jana
Sochun tujhy har din ki subha mein
Dhoondu tujhy ab mein dil ki har raah mein
Shamil rakha tujhy har waqt mei dua mein
Maangu tujhy har waqt mein khuda se
Ashkon se bhar chuke behisaab khat
hoti mayusi ab kisay ilzaam dun