Jab paas tu, sab theek hai
Mujhe tang kare mere khitaab
Mai kho naa jaaun phir yahaan
Inn bade bade baston ko khaali karne mein
Har sheher naya dukh nikla
Maine naye naye gum seekhe har rishte mein
Par paaya nahi khud ka pataa
Mai khud se kyun itna naraaz?
Inn raahon se mai bhaagta
Kabhi kabhi lage kuch galat mujh mein
Jiske liye nahi bani dawa
Par shyaad utna bhi galat nahi
Jo tune mujhse pyaar kiya
Mai khud se kyun itna naraaz?
Toh phir aa tang kar mujhe
Toh phir aa tang kar mujhe
Mai khud se kyun itna naraaz?
Inkaar raha tere pyaar ka
Mai khud se kyun hoon judaa
Nakli barfi ke khaali dabbon ki tarah
Teri duniya mein kamra mera
Pata nahi ki kab hua badaa mai
Teri sazaa ke kaabil bhi nahi bachaa bachaa mai
Khud ka bhi nahi rahaa rahaa rahaa rahaa mai
Mere honthon par nishaan rahe bass tere hi