Maa ke mann ki niraasha padh li toh thak gaya
Par gum gaya khudki awaaz dhoondhne
Toh mile kuch bechain saathi jin mein
Sirf apne halaat dhoondhe
Samaaj de paheliyaan jinke tukde aasan tootne
Unn tukdon ka hisaab maange mera ateet
Jo jhagad raha mann ki tabdeeli se
Badal raha samaaj ek matlabi jaldi mein
Abhi bhi dikhta sabki nazron mein
Jo sab na pasand iss awaam ko
Wahi bann raha main barso se
Toh kal ki ek marne ki nakaam koshish
Khudko khatm karne ka de intekhaab
Cheen liya sabr banne ka nakaam
Ateet aur aaj jodna chaahe sawaal
Bhoolna khudko mera khwaab
Karwatein lekar aisi raaton mein
Dabe paaon inn vichaaron ko sajaaya
Bina shor kiye bhaaga iss aks se
Chodne pade kitne shaks the
Nakli seedhiyon se bacha toh chala pata
Naamunkin nahi udna paaon zameen par rakhe
In aks se faraar hona maane khud ko khona
Bahaar ka wazan mehsoos kar
Bhool ja apne iradon ki fiza
Bhool ja apne gamon ki wajah
Dhoondh la ek teesri shakl
Par tu mann mein rakh thehraav
Sunn tera karm kya tujhse keh raha
Unka tujhse sambandh nahi
Adhoori kahaaniyon ki thakaan
Tu sirf apne karmon ke liye zimmedaar
Tu sirf apne karmon ke liye zimmedaar
Tu sirf apne karmon ka zimmedaar
Tu sirf apne karmon ke liye zimmedaar
Tu sirf apne karmon ka zimmedaar
Ateet aur aaj jodna chaahe sawaal
Bhoolna khudko mera khwaab
Karwatein lekar aisi raaton mein