Aas paas nevlay kharay ye
Aas paas nevlay kharay ye
Roko inhe kaam karo kehte
Khwaabon me mere pe lagay aise dosh
Hathon mere pe ye lagay khoon jaise
Kaatun me inhe aur battay jo ghosht
Khaanay walay bethe kaat khayen tujhay
Jo mere aagay jo charhay jo josh
Charhay charhay rehte aray warray rehtay
Chehron ke peeche jo chupte hain log
Sohni ke jab hassay karay behosh
Jinhe ye kehte hain sar e firosh
Ke iska sach me kya jo matlab ho
Mai madhosh hun aik khargosh hun
Hua mai ghayab tum dekhte raho
Dil pe na lena mai dil se nahi kehta hun
Phir bhi kyun kaanch ke pinjray me betha hun
Tere liye andhere me sota hun
Phir in sab ko kaat ke phaar ke kehta hun
Aas paas nevlay kharay ye
Aas paas nevlay kharay ye
Banay yeh saanp to hum bhi sapairay
Hum genuine parts hain tu to bas spare hai
Maidaan mai jab ata ujaron udhairon
Ukhaar k rakh du hath mai jo tujh mat baat hai
Tujhe ni yaad dikhata mai aaina
Aur mujhe nai aisa koi takra jo aina dikhatay he chehra chupai na
Yeh abhi tak poochain mai kon Mai kisi ka clone nai yeh apna zone
Mukhatib hai aapsay puray paki hiphop ka lafzi don
Jinhe pata woh jane attention ka bhooka nahi
Chahiye bahaana bas phat paron jaisay mai atomi
Wreck your anatomy if you're coming at me
On second thought boy go play
Monday se friday sunday aur sat bhi
Playing the long game set hai ye match he
Khelra mai kyunke mujhe ata maza
Mai thora sanki hon iski na wajah
Aur chahta bhi nahi bas azmata phiron
Jazbati bhi hon thora apas ki baat hai
Apas mai rakhna ke bhaiyon ki batain phailatay ni warna phir
Aas paas nevlay kharay ye
Aas paas nevlay kharay ye
Juggaton pe pal rahe hain
Kyun bhaagta peeche tu gaari ke meri?
Tu chor hai tinkay daarhi me teri
Wattay hain partay to kuttay ye bhonkte
Chamray me kamray me jam rahe nadeedey
Industry ki chaahat zaroorat nai meri
Pretentious hain saare ye toli luteri
Moat aaj sar pe khari hai
Aas paas nevlay kharay ye
Aas paas nevlay kharay ye