Yaadon mein ab bhi jawaan hai
Khataa meri sadiyon purani
Tune waafayein lutaayi mujhpe be—hisaab
Main tha na haqdaar kabhi bhi
Khaali hua tera daaman, chukaun main kaise
Woh qimat jo meri hesiyat hi nahi
Zid pe khalish hai mere hisse ki
Maangu jo marham main laayak nahi
Wahi se tu de mujhko ko maafi
Jo meri parwah hai aaj bhi