Ab zamane ki ye baatein achi nahi lagti hai
Dikhawa kare call puche kaisa phone rakhdiye
Nahi chaiye fame bas sangeet ke liye bhakti hai
Shayad ye duniya soofty ya mujhme zyada sakti hai
Main fan zakir khan ka hu haar nahi manta
Jeetna hai jung mujhe gumaan nahi hai khaar ka
Ye tu nahi jaanta keemat hai bas pehchan ka
Insaan hi hai tu saccha nahi toh rab ki meherbaani ka asar kya
Le jeeraha main zindagi jo tab the mere khawab
Haan pahucha jaake ted talks toh dedunga jawab
Pehela tha main ladka mamuli ab syahi nawab
Hai dil ye tuta mera puche tum kya ho khafa
Main tute dil ko leke gaane likhta sau dafa
Safar ko jeeraha hu hai nasha ya hai raza
Manzilein hai dur main jhukane pe bhi na jhuka
Hardafa kalam ko rakhta main sirhane chadhta hai nasha
Ye log bole mujhko jo bhi lagti hai raza
Ki harke hi jeetne mein aata hai maza
Na ho khafa na dein saza yun bewaja
Hai kadam chote hai raaste mein bhi khaye chotein
Hai diye mauke fir bhi khaye hazar dhooke
Hai rakam chote ye jeeb mein par kal ho khoke
Hiphop se mila main khudko khoke