Mausam ne phir hai ki Tere aane ki iltija
Ye raasta bhi saj gaya ki jaise ho naya
Keh do ki tum aaogi aur na aa sako agar
Ban jaye na aane ki ye baarish agar wajah
Khwabon mein aana tum bheegi bheegi raton mein
Dil pe cha jaana baadal ban ke barsaton mein

Purwa kyu lehraye teri zulfon ko haule haule
Nazar kuch kehti hai aur lab dohorayein haule haule

Baji hai kaisi ye sargam lage ki Jannat mein hain hum
Rangeeniyon se bhar chala hai shaam ka aalam
Phir se keh jana tum aakar mere kano mein
Batein jo maine bas sochi hain armaano mein
Mausam ne phir hai ki Tere aane ki iltija
Ye raasta bhi saj gaya ki jaise ho naya
Keh do ki tum aaoge aur na aa sake agar
Ban jaye na aane ki ye baarish agar wajah
Khwabon mein aana tum bheegi bheegi raton mein
Dil pe cha jaana baadal ban ke barsaton mein
Khwabon mein aana tum bheegi bheegi raton mein
Dil pe cha jaana, baadal ban ke barsaton mein