Ae dilrub, tu nasha hai koi
Ae dilruba, tu nasha hai koi
Teri aadat hame lag gayee bakhuda
Ae dilruba tu nasha hai koi
Jaane kab ho gayee itni ulfat hame
Jaane kab ho gayee itni ulfat hame
Fursaton mein, bhi haasil, na raahat hame
Ye hayaat aur ye hosh sadke tumhe
Ye hayaat aur ye hosh sadke tumhe
Ab tu milti rahe bas hame, barhaa
Ae dilruba, tu nasha hai koi
Na karenge mohobbat, ye socha kiye
Na karenge mohabbat, ye socha kiye
Kashmakash mein hain ab, ek sauda kiye
Ek mulaqaat pe sab nichaawar kiye
Ek mulaqaat pe sab nichaawar kiye
Haar sab kuch gaye, bewajah.. bewajah
Berukhi se teri, humko ruswa na kar
Berukhi se teri, humko ruswa na kar
Mil hame, mil ke phir, humko bhoola na kar
Phir mulaqaat ka kar le wada to jaa
Phir mulaqaat ka kar le wada to jaa
Jaa nazar dar pe hogi, agar dum raha..
Ae dilruba, tu nasha hai koi
Haar meri hi hai, tere inkaar mein
Tere iqraar mein bhi meri haar hai
Dil aazai hai meri to dono taraf
Haar wajib hai meri to dono taraf
Na tere bin mukammal kabhi jee saka..
Na tere bin mukammal kabhi jee saka
Na zamaane ne sang tere jeene diya
Ae dilruba, tu nasha hai koi
Teri aadat hame lag gayee bakhuda
Tu nasha hai , nasha hai, nasha hai, nashaa