LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Sweet Pain Theory

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
To aao tumhein palko pe bithau
Humesha phir zamaney se chipau
Meri baahon mein to teri hi mehek hai jaana
To aao tumhein dillagi sikhau
Hosh kho chukey hai dekhke kareeb se
Tumhein kasam hai tum ab door bhi na jao
Humesha dhundtey jo pyaar tum kahhi kahi
Yahan dekhlo itna bhi na itrao
Mere baad tera koi bhi na hoga
Tere liye mujhsa paagal hoga koi bhi na hoga
Jaana nibhaana seekh lo agar tum
Chaand baarish key daaman mein phir na hoga
Teri baahon mein abhi
Mujhe ghr sa lagta hai
Tum jo door jaatey ho
Mujhe darr sa lagta hai
To aao
Bhulakey wo chehrey sabhi
Bhulakey wo ghum jo sahey
Dimagi wo jhootey waham
Bhulado wo saare abhi
Toh haath thamo mera
Aur jao na phir tum kabhi
Aakhon mein dekho meri
Kya tumko dikh rha abhi
Sochtey they hum jo log tujhse door hongey
Kitney tootey hue kitney majboor hongey
Zara sa door tum gyi jo meri zindagi se
Mere likhey hue dard mashoor hogye
Tere bin ye sard raatein to guzari hai
Tere bin ishq lgta bs beemari hai
Khwaab toot se gye they jo gye the tum
Tum jo aaye phirse dil mein ab diwali hai
Toh zulfein aakr jhatak do mere chehpe pr
Utha do rooh ko azaad krdo ye shehar
Lagao galey jaisey brso se mile na ho
Haath thaamke chalein saath phir umr bhr
To aao
Bhulakey wo chehrey sabhi
Bhulakey wo ghum jo sahey
Dimagi wo jhootey waham
Bhulado wo saare abhi
Toh haath thamo mera
Aur jao na phir tum kabhi
Aakhon mein dekho meri

WRITERS

Tanay Chaturvedi

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other