Ummeed leke nayi si chala chala
Ye jeet leke nayi si chala chala
Kar raha koshish main kaafi samay se
khud se ladke badhne ki aadhe kisse se upar
Jaa nahi rahi baat aa nahi
Rahi yaad likhi jaa nahi rahi baat
Naa hi strong vocabulary na flow na show
Naa hi jeb mein paise kaise likh du
Gaane jo kar jaein click ho jaein hit
7 8 hogayi aadhi raat ho nahi paa raha mujhse
Mera verse start kaat kaat ke thak gaya
Shabd hogaya disturb gaya mera mann haar
Har baar baitha likhne main man
Hara aur kuchh bhi nahi ho paya
4:30 hogaye itne mein naa samajh
Mein aaya naa kuchh main samjha paya
Ummeed leke nayi si chala chala
Ye jeet leke nayi si chala chala
Ab zaruri nahi hai ki banda wo
Shaant hai bahar se jo dikh raha chup hai
Andar toofan wo lekarke baitha hai kabse
kaafi dher sara dukh hai uda le mazak bana
Le sau baat tu aaj lelunga poora hisaab
Gira de hazar tu baar bars se du main jawab
Pehle wali baat cheet nahi ab
Dhoondh liya khud ko haan shukriya kiya maine
Sunliya maine jo bhi chal raha tha andar
Aur sunne ke baad mein phir hath mila liya maine khudse
Vishwas poora andha hai uspe
Rehne wala nahi peeche mein
Insaan khuda banta hai khudse
Ummeed milgayi nayi si wahin thi andar hi
Pehle se reh rahi thi dhoondhne ki der
Poochne ki khud se ki der andher mein
Dhoondh ke raasta krdiya weigh-tage thoda
Bhari sa shabdo ka rakhha nahi koi bhi regret
Khatam hua phase depressed aur
Low vibe lo-fi wala, clip kar rahi 808 ab