Tasavvur tera… Tasavvur tera…
Dekhe tujhe saamne ek muddat hui
Shaamen bhi tujh bin hain boreiyat bhari
Aise mein bhi kabhi dil bahl jaata hai
Jab palkon par aake thahar jaata hai
Dhoop jaise patton ke roshandaan se
Jhaankti hai sardiyon mein itminaan se
Waise hi kabhi kabhi yun hi chala aata hai
Mere aas-paas chup-chaap baith jaata hai