LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Badli Badli (feat. Sukhanvar)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Baat dilabaan ki hum aksar nahi karte
Karni bhi ho to hum muqarrar nahi karte
Alhada hue to saanson ke alhada hone tak
Zinda aashiqon ke ishq ko hum muqammal nahi kehte
Haara hoon toota hoon fir haara hu itna
Ki haare hue hum haara nahi kehte
Zulfon ki uljhan se uski hum hokar hain guzre
In aalmi uljhano ko hum uljhan nahi kehte
Izhaar-e-mohobbat ki chaahat to bahut hai
Lekin kaanpte honth saamne uske kuch nahi kehte
Badli badli badli si
Lag rahi vo thodi
Haan Darke sambhali sehmi si
Bhatak rahi hai vo chhori
Badli badli badli si
Lag rahi vo thodi
Gale tann pe tapp ke bijli si
Bigad gayi hai vo chhori
Aao na saamne
Maangein qabool hain teri
Muje maza sa deta hai
Jab nasha sarr chadhta hai
Behayaa ishq barse
Mujhe chhipana padta hai
Teri doobti hai jab aankhein
Mujhe tairna padta hai
Nami hai kitaabon mein, phoolon ke isharo mein
Mili nahi khushi, na hi dekha hai kayi saalon se
Garhii meri hanthon mein, waqt ke paimano se
Andar samayi hai itna
Andar se kha gayi tum mujhko
Bolo na kuch toh
Ye badla hai mujhse ya badla hai khudko
Tan ki ye preet nahi roohani ye sath hai
Shrishti bhi chaahti hai le lu udhaar pe
Palak pe aane na dunga main aansu
Ab-poorav-va pashchim haan jahan bhi le jhaank tu
Kitni ho dilkash main kitna hoon dil ju
Sab uttar mai dakshin taxila se maangu
Tum satrangi shocker main bhi kuch napaak hoon
Tum udti hui kashti main dooba vimaan hoon
Rashk- e-Qamar se hum ashqon ko pee gaye
Lakht-e-jigar kiski bahon mein so Gaye tum
Lafzon se baatein ye nagme
Sabme hi sadmo'n ke charche
Maslon ki kashti pe kishton me kharche
Hain de jaate dhokhe fir pal bhar ke rishtey
Reh jaate ro ke hum aise bhi kab the?
Dariyaa mein doobein hain paani ko tarse
Six baras baadal kyu tum pe hi barse
Hum ho gye pagal par fir bhi ni badle
Badli badli badli si
Lag rahi vo thodi
Haan Darke sambhali sehmi si
Bhatak rahi hai vo chhori
Badli badli badli si
Lag rahi vo thodi
Gale tann pe tapp ke bijli si
Bigad gayi hai vo chhori
Aao na saamne
Maangein qabool hain teri
Muje maza sa deta hai
Jab nasha sarr chadhta hai
Behayaa ishq barse
Mujhe chhipana padta hai
Teri doobti hai jab aankhein
Mujhe tairna padta hai
Badli badli badli si

WRITERS

Vaibhav Mishra

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other