LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Jaaneman

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
So long I haven't seen you
So long I haven't seen you
Main falsafon ki talash mein hi maara gaya
Dil tha saamne main peeth pe kyu maara gaya
Qaatil hai saamne main haath chumu maanu nai
Haanthon ko kaat de wo kandha tum lagana nahi
Ye meri zindagi hai jo gum hain har raat ke
Main tujhe likhne baitha likh rha kyu haadse
Baithi sunke har khabar wo bekhabar
Aise wakif hai rehbar mere halaat se
Vaise kuch khaas nahi hai zindagi me aaj dekha
Haadse mein saath dene walo ka hi haath dekha
Vaise to paas mere khat aur gulaab bhi the
Sabne haath mein bas kalam aur sharab dekha
Koshish ye meri ki main bhul jau use
Koshish ye meri ki main yaad aau mujhe
Main khud pe hasta jaise zindagi mazak meri
Main zinda laash na hai aas ki talash mujhe
Jaaneman jaaneman
Khafa hoon main zamane se
Jaaneman jaaneman
Tu mere har afsanay mein
Jaaneman yaadein teri aksar mujhse kehti hain
Jaaneman jaane de
Tu bhi jaanti hai hum 8 saal se hosh mein nahi
Hum aaj bhi khade usi mod pe khamosh kahin
Dekh tere jaane ke baad mera ye haal kaisa
Kabhi has dein khudpe aur karein afsos kabhi
Kaise keh doon tujhse dil mein saari baat dabi
Main kyu uthau vo patthar jo honge raakh kabhi
Yun to yaha kaafi kharidaar mere main bik ju kaise
Main tere sheher ka akhbaar nahi
Hum sapne dekh ke fir sapno ke hi qaidi bane
Wo meri chahe bane bas zakhmo ke rehte bane
Yun to kehne ko yahan baatein hazaar thi par
Wo mujhse kehke gaye jo khudse bhi na kehte bane
Chahe aashiq mazaar pe tamaam khade
Main karke chhod chuka ishq ab kya kaam bache
Wo jabse chhod ke gayi thi muje station pe
Wo jaise chhodne hi aayi muje station pe
Mere baad gawah bana dena yaadon ko
Tere baad bhi teri fiqar teri qadar tujhe yaad ho to
Laana phool wo gulaab bhale khoob khabar mile
Meri kabar tumhe yaad ho to
Jaaneman jaaneman
Khafa hun main zamane se
Jaaneman jaaneman
Tu mere har afsanay mein
Jaaneman yaadein teri aksar mujhse kehti hain
Jaaneman jaane de

WRITERS

Vaibhav Mishra

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other