LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Suhagraat (outro)

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Pareshan hoon main sarr se
Is shareer, iske khwab, iske darr se
Pareshan hoon main sarr se
Is shareer, iske khwab, iske darr se
Ek arsa hogya hai dil ye behla rehta hai
Behte rehte dil mein koi toh baitha rehta hai
Vo hi jaanta hai mujhko nazdeek se
Vo bheekh de ek aahat ki dil ye chaahta rehta hai
Par vo toh khafa baitha hai
Ulta joota feka hai
Ab yaad kuch ni aata mere dimaag me
Tere gumon ke siva ye kuch na likhna chahta hai
Main chuppi sunta hu
Fir tumko dhundhta hoon
Kyuki yaad kuch nahi aata tere labon k siwa
Teri khushbu, Teri ankhein, Teri jalebi si baatein
Tera badan, Tera jism, Teri rooh
Teri chaahat mujhe paagal karti hai
Main sehta rehta hoon
Randomly yaad aati ho, randomly rota rehta hoon
Mujhme taakat hi nahi par acting achi karta hoon
Khush rehne ki
Varna kamzor ko ye raund denge
Ghar pe na roti pakka maa baap pe bhoj honge hum
Ghar jaate firse haar ke
Vaise hu kalakaar par darta is sawaal se
Ki bhaisaab aap naukri kya karte hai?
Kab hogi shaadi?
Kab karenge ye bachche ?
Inhe koi toh batao
Qala se ghar nahi chalte
Haan chalti hongi saansein
Jinki Qadar hum na karte
khudko kar leta hu numb kaano mein drums ko bharke
Fir aajati ho pass tum naya gaana banke
Jo khanjar tune khopa hai
Vo aaj bhi ek tohfa hai
Saja ke maine rakhkha hai
Vo aaine me roz muje dekh ke itraata hai
Main pankhe pe roz jab ek khwaab ko latkata hoon
Ab bhatak raha hai Aashiq firse naukri talaashne
Thak gaya tha main khudko roz kam aankte
Maa mujhme kami hai koi
Gaane ni chale hain kabhi
Job lagi hi nahi kabhi
Kuch kar paaya hi ni kabhi
Aaj bhi weight loose hua ni
Albums ni nikli aaj bhi kuch sort hua ni,
Jo chaha kabhi mila ni,
Bhagwan ka main saga ni
Toh chhod diye bhagwaan nastik meri saza rahi
Ab aasre k lie upar dhundhta main kisko?
Sawaal mere andar main puchta bhi kisko?
Koi dhundhta nahi mujhko
Main khudki laash leke baitha utha le koi mujhko
Khalifa samjhte hain log mujhe
Main khaak reh gya firse ghar ke aage
Mere Dosto ko lagta hai main bahut khush
Kon udaas reh sakta bhala unke aage
Fir hui hi nahi kabhi kisi aurat se mohobbat
Sharab haar gayi tere intezaar ke aage
Muje shehnaiyo ka koi shauq nahi
Mehboob naachta hai mera been k aage
Suhagraat raat hai teri toh fir hug Karo usko
Control kare tumhe seedha call Karna mujhko
Zabardasti vo kare toh fir cheer dena usko
Use vaise bhi shayad gaayab kar dun main kal ko
Ye audio saboot, sab jaane naam tera kallo
Main marr jaunga tere azaab me hi kallo
Main marr jaunga teri yaad mein hi kallo
Main marr jaunga suhaagraat pe hi kallo
Suhaagraat ka matlab keval teri nahi ye meri bhi hai
Cuckold karke sapne mere cuffs dein koi khair hi nahi
Ye itna real gaana ise mixtape ke
Kisi kone mein daal ke complxx tum bhul jaana
Uske baad meri laash ko jalana
Mere saare unreleased mere sath mein dafnana
Aur meri raakh ko kuredna
Ek ladki chaar shabd wali tumhe firse khush nazar aayegi
Uski hasee hai Anmol mere lie
Mera Jeevan uske naam bina 7 fere liye
Main jahaan me badnaam, kardi zindagi kharab
Behisaab pyaar kiya jiska mila ye inaam
Ab kya khaak shaadi karu aur khaak hoga pyaar mujhe
Ab Nafrat hai khudse, main kaat raha fir haanth mere
Nas ko bachaake isme daudti ho tum
Tum hi aakhri mohobbat ho jab tak hai jaan
Pareshan hoon main sarr se
Is shareer, iski khawaish, iske darr se
Pareshaan hoon main sab se
Is shareer, iski khawaish, iske darr se
Blood on my shoes
Dirt on my hands
Ab main sochne ke liye sochta hu ki sochne ke liye aur hai hi kya
Ye zindagi zindagi zindagi
Bahut aaye bahut gaye
Bahut aaye bahut gaye
It's The Complxx
Honeymoon's over

WRITERS

Vaibhav Mishra

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other