Shayad kisi mazil ka pata
Jo chal pade hum manzil ki disha mein
Dekhe zara hai kya mil in hawaon mein
Paya hai kya jo kho dega in rahon mein……
Chalne se girne se badne se
Ho sakta hai ye bhi likha
Jo kuch milega tere hi kuch karne se
Tera safar hai tujhe hi pura karna
Pana us manzil ko kyu ghut ghut ke marna
Jab chal pade tu manzil ki disha mein
Tera rab hai waha phir kyu dare un hawaon se
Ja bhid ja zara un khwabo ke darwazo se
Teri rahein ye keh rhi hai
Tere imtehan ki ghadi hai
Ja milja tu khudse Teri zindagi keh rhi hai
Dekhna tu bhi ik din waha
Payega khudko jahan tera jahan
Ho sakta hai ye bhi likha
Chale to jeet hai par tu ye jaane na