Kabhi hain tujh ko aisa laga
Ki kisi aur ki khushi se halkain tere ghum huaye
Kabhi hawaon main jhoomtain padhon ki taal pe Tere mann ke geet sajain.
Don’t you feel somewhere somehow someway we’re all...connected
Kahin na kahin kabhi na kabhi kisi na kisi tarah hum hain judain..
Tujh se hoon main Mujse hi tu
Hain hum sab judain Behti hawa..
Haan hain sab hain judain
Ek muskurata chehra kabhi kabhi badal de mayusi ko choti si asha main
Badalon main kho kar khud ko kabhi kabhi
Mil jaatain hain jawab sadiyon se ghum jo they
Kahin na kahin kabhi na kabhi kisi na kisi tarah hum hain judain..
Tujh se hoon main Mujse hi tu
Hain hum sab judain Behti hawa..
Haan hain sab hain judain
Jaise nadi, jaise khayaal, waise hi tu bhi behta chal Kabhi raastain, aa milengain
Kabhi reh jayengain bas khushiyon ke pal