Mujhe yaad nhi din jo bhi gujar gye kal
Mere din kare raaton mai basera
Jaise ruk gya hu kisi ek mod pe
Na aage bdh rha hu, ek jagah pe hu thehra
Jatata hu mai bhul gya sb lekin aaj bhi jagata mujhe khwabonse vo chehra
Juthi tasli na de mera dil mujhse kehra
Teri bin jo gujari Raatein
Sunai deti teri aahatein in raaton mai
Mehsoos krta hu mujhe teri hi panaho mai
Jaise sham dhal jaati teri yaadein hai satati
Meri raatein saari katati khayalon mai
Speed on top sheeshe niche haat bahar
Ye hawa mujhe chuke deti tera hi khumar ( nasha)
Dil gum mai hai duba teri yaadon ka ajuba
Saalo bit jaane pr bhi hai tera intejaar
Tune dala aisa dera meri dil pr jo uthane ka naam nhi lerha
Tune baandha mujhe aisa teri yaadon mai jo mai chuthne ka naam nhi le rha
Jane kitna mai dard dena chahta hu. Mujhe pta nhi q mai ye seh rha
Aisa lgta hai nason mai hai nam tera. In nason mai ab khun nhi behraha
Teri bin jo gujari Raatein