Chalakne lagay lafz yahan
Per kaise wo kahoon main?
Samajh na jo sakoon main?
Jaltay rahay dil k saaray nishaan
Paas thay kabhi, hain wo kahan?
Har pal ghanay saaye idhar
Dhoondhta hoon main jugnoo yahan
Mere geeton ki dhun mein ho tum
Meri sochon mein lafzon mein tum
Dabi chupi si baaton mein
Karoon sawaal khud se main
Main doon jawaab khud ko main
Kia main kabhi tha bhi sahi?
Ya phir hoon main ghalat aaj bhi?
Jo paas hain, thay wo kahan?
Khamosh hain hum tum yahan
Mere geeton ki dhun mein ho tum
Meri sochon mein lafzon mein tum
Mere khaabon mein khayaalon mein tum
Meri zaat k sawaalon mein tum
Khamosh hain hum tum yahan .