LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Middle Class Boy

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
In Khaali khaali jaibon mein mere bary bary khuwaab
Andhere bhary raatein yeh ab lagti hai azaab

Middle class boy jiski jaibon mein hai pesa kam
Jo roz mehnat kare jiske khuwaabon mein hai rakha dam
Jo cheer phaar karde par majboor yeh halaaton se, Kismat se, Jazbaaton se, In lambi lambi raaton se

Udhaar ka hai bouj jo k dene tujhe salary pe
Lakh hai zarut jinko pura karna time pe
Aur jab aa k bolen k tu banda nai zubaan ka
Tou sach suno dost badla dunga mein hisaab ka

Double meri jobs hain mein mangta nai family se
Bary mere khuwaab mein qamata nahen gandagi se
Khelne ki umr se he kaam karna seekha
Ab pesa ziada nahen par hisaab karna seekha

Apne plans ko mein manage karke agey barhna seekha
Jo chalre thay naqaab mein un sab k chehre dekha
Jab sath khary dost bhe hil jate hain emaan se
Tou socho kya hai cheez jisko kehte jani pesa

Ghaltiaan bhe ki hain mene lakhon par mein hila na
Jis baat ka hai khauf un usoolun ko bhe chora na
Mumkin hai meri haar par wo jeet bhe hai kya
Jisme mile mujhe sab par sukoon zindagi mein na

Aik sapna yeh adhoora jo mein kar na paya pura
k jab chale mera naam tou bas venue hojaye pura
k jab charhun mein stage pe tou naarein lage naam k
Aur samne hon maa baap tou bas mann bharjaye pura

Khaali khaali jaibon mein mere bary bary khuwaab
Andhere bhary raatein yeh ab lagti hai azaab

Maa ko rota dekh k phir jaaga wo insan
Us waqt kiya jisne judge usko dena tha jawaab
Phir kya raat subha shaam, Har waqt karte rahe kaam
Thora waqt dedo aa k phir se karenge yeh baat

Aik waqt tha jab 1 pesa bhe nahen tha ghar mein
Aaj khudke ghar mein bethe hain karke beta shukar se
Ungliyaan uthayengy yeh teri sari baaton pe
Par banna tujhe thor inke moun pe ham hathoray den

Jab acha waqt ayega tou banengy yeh meethay
Badla hua yeh mizaaj sanpon ki tarah yeh jeetay
Inse baat cheet karke sirf hota time waste
Agey barho zindagi mein banke choty nahen cheetay!

Jab aunga mein stage pe, Leke bary bary khuwaab
Aanson hongy meri aankhon mein, Jab ayegi wo raat

WRITERS

Umair Jilani

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other