LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Lease Pe

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Aye, why are you so sad
Kyunki mili mujhe har cheez lease pe
Haan
Kyunki mili har cheez lease pe
Lagi muje tease kare
kabhi thoda freeze kare
Milen paise toh gaano pe laga dun main saare
Per aaj poori album nikali maine lease per hai
Khara hun na peach main
Baitha hun kisi beach pe
Soya ni kabhi beech mein
Suni thi teri speech ye
Ki ye desh thoda neech hai
Thank god haan tu nhi meri reach mein
Tuje toh deta seech main, tu hi toh bana leech hai
Khushi ko thodi dheel de, khushi se ude feel mein
Yes
Tere paiso ke pankh banate tuje cheel jaise
Tu bhi fancy dress pehn ke jheel mein tu gira tu bhi feel lele
Maidaan khaali karun main abedi pele
Ball rahe mere court mein, karunga visphot main
Gaano se lunga toke main
Chaiye ni mujhe dope ye mili thi khoyi hope ye
Aye
Khudse se tha joda maine rishta
Bhara baitha hun jalade mera rizla
Parivaar pe nikala gussa toh fisla ki
Saansein di maa ne haan kaise diya chilla
Matlab maine kaise kiya gussa
Wo bhi saala bhaar ki cheez ka
Lage har ghar ke kyun bahar bhartiya cheekhta
Pade saansar peeche jab houn main 30 ka

Haan
Mili mujhe cheez har lease pe
Gardan ye pakdi thi leashe se
Zinda nai rehpata peace mein
Duniya badi jahil mare ye kheench ke
Haan
Hasti thi manzil haan dekh ke
Ginkar main laya tha fees ye
Ye aankhon ke neeche nahi kaale ghere
Ye wo saare chehre
Jo bole the haan please bey
Zinda tu rehne de please bey
Aasha de mujhe bhi rehne ki
Knees mein baitha hun kabse main
Na bola tha rab se
Ki garam baatein rakhdun sir pe ya peeth pe
Fayda nai bhar rhe the sheet ye
Raste lage chote khado mein beet ke
Aage chalun apne aasoon mein bheeg ke
Udna nahi chahta padel hi theek main

I mean, why would you do that
Why would you say that
ValenC
Yeah That's your name
You gotta payback son if that's the game
Aah chalun seedha main bhi uth ke daftar
Mera rasta wo bhi saala bat se battar
Mujhe din bhar nahi pata kin per
Mera dil pheke thodi cheese
Bole chees ko kam kar
Per aaj uthun pehle aaina na dekhun
Har cheez maange tu
Per khudko na bechun
Per kaash
Aanewaali khushion ko bolun
Seedha gate se aajana
Agar khidki na kholun
Haath band mere kaise main bachalu
Zindagi badi chalu lagi toh main bhi hua chalu
Issi ke kabu mein nahi aana chahta ye batadun
Har gaane mein na karun jaanu waanu
Jaan bhot
Lenewaale mera time bhot
Sign bot kare usse pehle karun sign off
First sight wala pyaar lage mujhe fine bhot
Tabhi maine gaano mein nikali meri fine thoughts
Tere bina gaano se kari hai night bhot
Jis raste pe chala tha lagi thi light bhot
Teri di hui shirt aanelagi tight bhot
Dushman main tera
Yahan khudi se hai fight bhot
Haan
Seene mein lagi thi aag
Kaam kara har paari pe bana sehwag
Tabhi aaya kaam mein swaad
Dheere se chalane lagata mera naam bhi saath
Suna tha
Gaana sahi tera naam nai yaad
Koi na
Tu bhi dhoondega
Karega gaana yaad
Ek din tu bhi rodega
Jab bolega verse saath

WRITERS

Shivam Chaudhary

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

LyricIQ Analysis

Top Emotion

Sadness

Sentiment
Thumbsup Icon
Theme

Coarse Language