LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

The Last Meeting

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Tu toh keh ke gayi thi
Pyaar bilkul hai baarish jaisa
Kisi ko milti boondein, koi Lavaaris rehta
Tere ghar ke bahar dekh Ek aashiq baitha
Kila bana lo tum mitti ka Par woh lehron mein behta

Mitti ki mehek bhi thi
Neeche gire phool bhi the
Chidiya chahak rahi thi
Gaye hum school bhi the
Shayad hum bhool gaye the
Ke hum ek rule mein the
Phir bhi tere mere haath jaana
Mohabbat ki hi dhool mein the

Jaise koi saazish mujh mein
Dhoondhne se mili nahi hai
Waise hi yeh baarish ki
Boondein girne lagi hai
Jaise koi numaish mere
Sheher ko laagi hai
Bas teri khwahish mere
Dil mein kyun jagi hai

Tu ek patang si thi
Hum manjhe mein lipte bhi the
Maine tera saath nahin chhoda
Log manjhe ko neeche khinchte bhi the
Aakhri mulaqat yaad hai?
Hum zor se chipte bhi the
Tere aansu bhare kajal ke nishaan
Meri shirt pe dikhe bhi the

Jaise koi pal zindagi se
Alvida ho chala hai
Waise hi tu chal mere saath
Dekh andhera ho chala hai
Kaise koi sambhalta hai
Fanaa hoke jo tujhse mila hai
Main peeta nahin kyunki tujhme hi
Saara nasha ghula hai

WRITERS

Vansh Chauhan

PUBLISHERS

Lyrics © Ambala Productions

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other