Na jane aasu ab mere ye kyu na ruk rahe,
Ha zimedaariyon se kandhe bhi yu jhuk rahe,
Main be-jhijhak jo tujhse milne chale aata tha
Pata nahi kyu ab kadam ye mere ruk rahe
Kaha tha tumne mera haath nahi chodoge
Kaha tha ye bhi ki ye saath nahi chodoge
Nahi khabar thi mera dil bhi tumhi todoge
Ha beech raaste mein aise mujhko chodoge
Kya vapas aaoge ya yeh bhi hai mera veham
Kahoon huda se ya main tujhse mujhpe kar rehem
Haan tum hi rab mera, tumhi mera guroor ho
Dil ke paas hoke bhi tum kaafi dur ho
Main janta hoon isme teri bhi na galti hai
Chandni se ab kyun rooh meri jalti hai
Haan ishq dhaage se mujhko phir se bandh lo
Mere jahan ka eklauta tumhi chand ho
Haan tum ye jaan lo tumhi meri jaan ho
Mera jahan ho, mera hi tum mukkam ho
Haan tum ye jaan lo tumhi meri jaan ho
Tum hi meri jaan ho, bas tum hi meri jaan ho