Jab baje ye techno bhajan
Jab baje ye techno bhajan
Mai naag hu tumhara aur been tum
Mai bhakti me unke hi leen hu
Mujhe gopala sang behne do
Ye aasu kaafi hai kehne ko
Raat ghani raat ghani sab thamm sa gaya hai
Charano me unke deen daya hai
Maathey par morpank saja hai
Jab baje ye techno bhajan
Kis gati me bandha sansaar
Na bhog na tyag na vyavhaar
Jo gira wahi toh paar hua
Parivartan se jise pyaar hua
Dhol baja tha baja nagada
Kurukshetra me shankh baja tha
Arjun k ki rath ki savari raah dikhae murli dhaari
Maut pe naache gopala the
Jhuke bavandar shyam ki saasien
Shaam padhare asur bhi kaape
Leela kishan ki yamuna bhi baatey
Samay thama jab murli baji thi
Thama madhuban gopiya dekhe
Ban me padhare shyam hamare
Har jan har jan radhe pukare
Hare krishna hare krishna
Krishna krishna hare hare
Hare ram hare ram radhe radhe radhe radhe radhe
Hare krishna hare krishna radhe radhe radhe radhe