LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Shauk Se

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Meri raate hai beetne laggi khauf mein
Rakhta baate mai mann mein bade shauk se
Lagge hu mai jaise bandd kisi box mein
Chaiye nahi pressure khudka boss mai

Kaam mera seedha no fraud
Nahi chaiye second thoughts
Seekhta hu mai har ek loss se
Gaane bane vibe pe on spot
Mai socially thoda awkward
Pohochna mujhe top pe
Farji cheezo ko karu dodge
Privacy ko karu lock
Aur stage pe karu mai moshpit
Magic ye life hai par nahi hogwarts
Chlani mujhe porsche
Banani utni pohoch hai

Meri raate hai beetne laggi khauf mein
Rakhta baate mai mann mein bade shauk se
Lagge hu mai jaise bandd kisi box mein
Chaiye nahi pressure khudka boss mai

Bhai abhi kaafi hai chadai
Chalni lambi ye ladai
Tum bass dete ho safai
Khade hote nahi baat pe
Badle maine raaste
Tumne badle rang aur tabhi bade ye faasle
Huh!
Lagi vo raat jabh lambi
Tha nahi saath koi
Mai kru baat mere mann ki
Nahi mai koi pradhan ya mantri
Saanse kal ki
Li maine aaj ek suni awaaz
Sunkr dusro ki baat barbaadi ke raste p chal pada har koi aaj
Maine hai dekhe vo bande jo gud jaise meethe hai muh pe aur peeche hai chhuri tayaar
Huh!
Paale toh aasteen mein hi the aaj zehen tak pohoch gye saanp
Mai bolu baate jo dost tere aaj
Bolne ki rkhte nahi gurde mein jaan
Maine bhi kar rakhe tede hai kaam dekhi jhaank ke hai khudki maine girbaan

Mujhe jeena jaise aakhri ye saans hai

Jaise koi kal nahi bss aaj hai

Rakhni fikar nahi dimaag mein
Khudmein bass rakhna vishwaas hai

Meri raate hai beetne laggi khauf mein
Rakhta baate mai mann mein bade shauk se
Lagge hu mai jaise bandd kisi box mein
Chaiye nahi pressure khudka boss mai

Kaam Mera seedha no fraud
Nahi chaiye second thoughts
Seekhta hu mai har ek loss se
Gaane bane vibe pe on spot
Mai socially thoda awkward
Pohochna mujhe top pe
Farji cheezo ko karu dodge
Privacy ko karu lock
Aur stage pe karu mai moshpit
Magic ye life hai par nahi hogwarts
Chlalani mujhe porsche
Banani utni pohoch hai

Hah!
Mehsoos hota akelapan chahe ho bheed bhi
Huh!
Ghoomta sir chahe shareer sthir
Sehmi aankho mein hai sapne, jo lage kabhi gehre, gehno se bade hai fir bhi
Behte chalenge jaha le chale zindgi hum abh hai paani
Aur paani hota hai sthir nahi

Meri raate hai beetne laggi khauf mein
Fir bhi chalu mai moj mein
Badta prem nahi raub se
Rakhta baate mai mann mein bade shauk se
Karu call nahi pohoch ke, pohochna mujhe top pe
Lagge hu mai jaise bandd kisi box mein
Mere thoughts hai hostage, aate kabhi nahi laut ke
Chaiye nahi pressure khudka boss mai
Hona stop nahi rakhu aura on lock ye

WRITERS

Sidd Chauhan

PUBLISHERS

Lyrics © O/B/O DistroKid

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other