Tootey tootey hue taaron mein, Abhi roshni ka ek katra hai,
Bikhre bikhre hue khwabon mein Umeedon ka ek pehra hai,
Tootey tootey hue taaron mein, Abhi roshni ka ek katra hai,
Bikhre bikhre hue khwabon mein Umeedon ka ek pehra hai,
Dard ke hi lau se to hausle bantey hai ,Mushkilon se guzarke hi to ,
Fir karvatein leingi yeh zindagi, Aur Ghum Muskurayenge....
Fir karvaten leingi yeh zindagi, Aur Ghum Muskurayenge....
Hoonthon pe ruki hasi ko ab aane do
Khushiyon ko choti baaton me gungunane do
Anjane se kal apno se ho jayenge
Sukoon ke pal fir dhundho to mil jayenge
Do kadam jo tum badho to,
Ek naya savera hai, Sang tere chalne ko
Fir karvaten legi yeh zindagi aur Ghum Muskurayenge...
Fir karvaten legi yeh zindagi aur Ghum Muskurayenge...