Banke baitha bhrammachari
Asal bimaari se fasal kharab
Mausamo ki aad banke pyaar bantey
Shakal se lagte saare pyaar
Karne lag gya tha vichaar
Tu ban gyi uccha koti naag
Rahiman dhaga ye jo likkha maine prem ka
Ye hai prateek tere mere punya mel ka
Ise na todo na jude aur bhakti dekho iski
Aaj bhi latakta banda fanda saath jhool ta
Garimat karta mai to sapne saath khelta
Banunga sarva shakti maan punya prem ka
Zami ki batein bangay ban mai to parth
Saathi krishna saath mere sarvanaash tere khel ka
Ha kabhi lagta hai koshishey hi chodh du
Nakaam dil ki ye kahani aaj bol du
Woh sard raatein aaj bhi ye tadpatey
Kaise jee raha hu tere bin ye wardaat bol du
Ha intezaar ab bhi reta tere call ka
Udhaari baaki woh jo icecream ke stall ka
Namaaz chahe 5 waqt ki mai naa padhu
Ha paacho waqt dikhta Tera chehra woh kumol sa
Purani baatein yaad karke aaj bhi yahaan mai
Bana musafir tere husn ki sawari ka
Lagi padi thi jab kabhi tu na mili
Ha zulfey tere muh pe mere firse tu ye fer jaa
Kaha bitaau meri ye adhuri zindagi
Kaha sunau tere mere saath ki kahani
Ha dard ab bhi mere dil me uth ta
Jab bhi yaad beech raat bistar se mujhe yu giraati