Logo Ki Najaro Me Bhura Banta Jaara Hoon Me
Ye Jo Bi Sochte Hai Frak Nahi Pdta Mujhe
Waqt Nahi Mere Paas Inko Jawab Doon Me
Yo Hi Ni Gaata Roone Kisi Ke Bi Aage Hoon Me
Me Sochta Tha Zindagi Na Meri Kaam Ki Hai
Koch Bhi Na Paas Tha Bus Jee Ra Gumnaamiyo Me
Logo Ko Khush Karne Me Gujar Gyi Saari Umar
Socha Nahi Apne Baare Mila Na Jra Bi Sabar
Ab Aankhe Khuli Hai To Lagte Saare Dusman Hai
Charo Traf Jese Ghira Pada Sanpo Se
Aas Nahi Kisi Pe Sab Saare Dogle Hai
Andar Se Jalte He Pit Piche Hanste Hai
Aaye Mere Khuda Mujhe Bacha Bhuri Najro Se
Bachale Inse Mujhe Panah De Tu Kadmo Me
Fir Chahe Kabi Na Ho Sapne Ye Pore Mere
Tu Bus Chain De Bechain Meri Roh Me
Ye Mere Khuda Sun Raha Hai Na Tu
Tu Sab Jaanta Hai Kitna Galata Sahi Hoon Me
Tujhse Koch Chupa Na Hai Kitno Raate Roya Hoon Me
Me Lakiro Me Nahi Viswas Rkhta Tujhme Hoon
Ab Tere Hawale Me Le Chal Mujhe Badaloon Me
Log Sirf Dekhte Hai Tasveero Me Hansta Mujhe
Or Me Hi Jaanta Hoon Kitna Khudko Roka Mene
Bacphan Se Sikhta Raha Ladke Kabi Rote Nahi Hai
Duniya Se Ladna Sekho Vrna Tumhe Khaayegi Ye
Or Ye Koi Gaana Nahi Dard Mere Dil Ka Hai
Mene Jo Kaha Meri Aankho Me Bi Dikhta Hai
Me Hoon Vo Shayar Jo Kalam Khoon Bharta Hai
Likhne Se Phele Kagaz Aanshuoon Se Dhota Hai
Band Ek Kamre Se Duniya Ko Dekhta Me
Apni Hi Dun Me Din Raat Khoya Raheta Me
Umar Se Do Guna Tajorbo Ko Rkhta Me
Bewjah Kisi Ke Bi Muh Nahi Lagta Me