LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Sabhar

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Kitne Pyare Ho Tum Kitne Masoom Se Ho
Aadon Se Bhare Ho Tum Kitne Khoobsurat Se Ho
Haste Ho Jab Bhi Tum Lagte Barish Se Ho
Man Na Bhare Dekhe Esi Anmol Cheej Ho

Dil Teri Galiyon Mein Rehna Chahta Raat Din Hai
Jab Bhi Subhaye Hoti Dekhoon Teri Tasveerein
Esa Koi Pal Nahi Jis Pal Tumhe Socha Nahi
Teri Deewangi Ka Nasha Hota Kam Nahi

Rakh Mere Seene Se Lagake Apni Dhadkan Ko
Tum Ho Aasma Mera Tumhi Mera Sagar Ho
Nisar Hai Jaan Tumhe Tum Esi Aashiqui Ho
Irshaad Na Khatam Hote Tum Esi Shayari Ho

Hai Kalam Gawah Meri Jab Likhoon Tere Baare
Rageen Lage Asmaan Aur Yeh Chaand Taare
Har Khilte Phoolon Mein Dekha Hai Tumko Haste Hue
Rabb Kya Hota Hai Ye Jaana Hai Teri Nazaron Mein

Aashiq Hoon Tera Main Is Duniya Ka Dushman Hoon
Tumne Kraya Hume Dil Se Is Roobaroo
Warna To Logon Ne Bana Diye Thay Patthar Hume
Bemaksad Jee Raha Tha Main Duniya Me Dard Liye

Music

Tu Bas Sabar Rakh Aaunga Main Ghar Tere
Badalunga Haalaaton Ko Badalunga Taqdeerain
Aur Kitna Rokega Zalim Yeh Zamana Hume
Main Chura Lunga Tumhe Inhi Ki Nazaron Se

Mohabbat Cheez Aisi Hoti Jismein Bagwat Hai
Ladunga Tere Liye Har Aakhiri Saans Tak Main
Naam Na Kar Aankhen Aansu Tere Kimti Hain
Mat Baha Inhe Inmein Basti Meri Zindagi Hai

Chahe Me Door Hoon Tere Hi Kreeb Hoon
Hawaon Mein Hoon Main Haathon Ki Lakeer Mein Hoon
Koi Kaise Karega Alag Humein Dekhoon Zara
Prem Ki Taqat Ke Aage Bhi Jhukta Khuda

Pehle Toh Tha Main Chup Ab Nahi Rahne Wala
Karega Jo Bhi Ungli Teri Meri Mohabbat Mein
Main Tod Doonga Inhe Inhi Ke Sawaalon Mein
Phir Chahe Ban Jaaun Main Bura Sabki Nazron Mein

Bas Tum Dena Saath Mera Har Mushkil Mein Jaana
Sukh Dukh Ka Laga Raheta Zindagi Mein Aana Jaana
Do Pal Ka Mahima Hai Ye Bura Waqt Tera Mera
Phir Dekh Khushiyo Se Bhara Hoga Sama Saara

WRITERS

Viv Saga

PUBLISHERS

Lyrics © IPRS, Royalty Network, Tunetradr Records

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other