Kitaabon me milta ni sach
Kinaara to milna hai rabb katre ko
Aur aankhon se aansu alag
Hifazat se rakhna magar hai gehra sabab ye
Ye rehne ko taapu hai bas jo lagta hai jungle sa kuch
Par hai mere dil ki sanak
Ye raani hai raaton ki latt
Jo padti hai sar ko gazab
Mae ban jata shayar galat
Kehne do waqt rehte kehne do shaq rehte
Kiski taraf hai tu kiski taraf
Le jugnoo se kush jalale agar
Ya chanda pe sar rakh ke soja agar
Takunga tujhe mae raat bhar
Kuch na kahunga hai raaton ko sab pata mere baare me vaise bhi ab
Behne do sab saayon se darr raha ab nahi
Mashaalon se kar li dosti hai jo amar hai jo amar hai jo amar