Mushaira mushaira mushaira hai
Mushaira mushaira mushaira hai
Barf padi aankhe band thi
Mushaira mushaira mushaira hai
Andha-dhun gaane naam ayush
Saath baarood rakh baat mehfooz
Yahan din khoon kare betha khwaab ka hai raat bani aaj jasoos
Naqaab me mureed hain sab
Kala ke khanjar hain paine mere chamdi dhakh
Raza ke bandar samjh inhe aane ni paimane
Ye rasookh ke gulaam hain mujhe sab pe shaq
Door door door ye aankhein khaari
Meethi jubaan hai keemti kar kalabazari
Thakka jame nahi khoon hua pani mera
Nagmo me nasha kaed jaam se bhi jyada haavi
Pen ki nok pe loot lu mushaire sab
Dhool me lipte hue yahan aayine ab
Raas na aaye mujhe khudka aks
Mujhe aankh me bharle hain nazariye ke maayne tab
Mushaira mushaira mushaira hai
Mushaira mushaira mushaira hai
Barf padi aankhe band thi
Mushaira mushaira mushaira hai
Sambhalna hai... mushaira hai
Katl kisi magroor ne kiya hai
Khanjar pe, afsos ke nishaan hain
Mae hua ameer meri yaado ki khaak bhech
Jal rahi rooh teri nazm me aag dekh
Kuch naya bhi to bol chal saer pe
Ye jumle bhi tauba karein
Fir naya din fir aasmani rang
Chal wahan chalein sitaaro sang tairne
Mushaira hai baatein har kheme ki hain
Pyaar ki hain baer ki hain
Udaan meri badi masoom hai
Mera kaha, fareb hai tera likha
Mujhe darr lage raat ke saayon se haan
To gawah ni banti meri aankhein subah
Mushaira mushaira mushaira hai
Mushaira mushaira mushaira hai
Barf padi aankhe band thi
Mushaira mushaira mushaira hai
Sambhalna hai... mushaira hai