Vibe kharab hai raat bohot hai thand hai yaar
Kaisi bhi zindagi jeene ka maza hai
Kiska kya chal ra hai kisko kya pata hai
Paar nai ho pa ra kaisi ye bala hai
Sang wo hi rukta hai sang me jo chala hai
Kaisi bhi zindagi jeene ka maza hai
Kiska kya chal ra hai kisko kya pata hai
Paar nai ho pa ra kaisi ye bala hai
Sang wo hi rukta hai sang me jo chala hai
Kis kis ko bata du kya kya?
Yahan kis kis se chupalu kya kya?
Haar lage kam lage jeet bhi zyada
Khud kuch nai hu mae khud hi kya kya
Loge tameez se naam abhi nai to aage
Life ne patak diya kya kya laake
Mere aage lage mujhe peeche jaake
Fer du mae time ko kuch mit jaye yaadein
Kuch thaam lu haath mae nahi chootne du
Kuch bach jayein ghar mae nahi tootne du
Nahi khusiyon ko roothne du
Chook hui mujhse ke chook mae hu
Kuch dafan hain raaz jo gehre dil me
Khudse hai milna to aake mil le
Jooth nahi bol raha haath hai dil pe
Sach bolta hu bohot mujhse dost nai milte
Kaisi bhi zindagi jeene ka maza hai
Kiska kya chal ra hai kisko kya pata hai
Paar nai ho pa ra kaisi ye bala hai
Sang wo hi rukta hai sang me jo chala hai
Kaisi bhi zindagi jeene ka maza hai
Kiska kya chal ra hai kisko kya pata hai
Paar nai ho pa ra kaisi ye bala hai
Sang wo hi rukta hai sang me jo chala hai
Juda jadon se hu khet ki mitti
Reh jata hu meri chaap nai mit-ti
Jo tab sath nai thi ab saath nai dikhti
Lahu maare lau tumhe aanch nai dikhti?
Abhi kaam me fasa hu subah dhyaan me tha
Kab aankh lag gyi mujhe dhyaan nai raha
Mujhe paison ka gyaan nai tha
Mae to rishton me tha adhoora insaan hi tha
Sach chakh liya gayi aankhe khul
Thoda ro liya gayi beeti yaadein dhul
Har kisi ke nai saamne khul
Bade kaam ka sabak iska jaan le mul
Aur dava nai daaru nai dua kaam nai aayi
Mae hi dhal gaya kabhi meri shaam nai aayi
Bohot khaas hu mae aam nai bhai
Tujhe shaq hai to heere ki pehchan nai aayi!