Toh Tezi pakdi saanson ne
Bas nafratein hawaon mein
Nai chalna hai saharon pe
Meri ginti ho sitaron mein!
Sawal dhundne lage log in jawabon ne
Ye haske dekhe dub ti kashti inn kinaron se
Haan kismat badalti iradon se, tu jaan le!
Praman hai kala aur kala ki karu pehredaari
Aelaan-e-jung mein farak nahi bhale mange maafi
Jami hai mehfil toh acche se hogi khatirdaari
Kalam-e-aashiq ne pesh kari dawedaari!
Haan jaldi milna fal iss saburi ka
Log faiyda utha gaye majboori ka
Inko chadh gaya nasha sirf mashoori ka
Mein toh beitha karta chill sirf masoori sa!
Ye aadatein jo karwatein badal rahi hai
Ye aankhon ki chamak ka karan sirf aur sirf nami hai
Aaas pass Gehre raaz ke abhaas hai
Na rakhta aas iss liye aaj sab sahi hai!
Paise ki iss daud mein saans lena bhi gunah hai
Karte dikhave pyar andar se nafrat doguna hai
Mar-kat ki wardatein dikhti aaj kal boht
Insaaniyat ko marte dekh aaj prakriti udaas hai!
Baatein meri vastavik na kalpanik hai
Ye taare aur marhawa si chandni hai
Rooh tak jaate lavs mere satvik hai
Ye gaane mein banata kyunki ye meri aaradhna
Rehta hoon akele mein koi mere saath na
Prarthna mein karta rehta hoti meri sadhna
Jo kalam mein hai dhar woh talwar mein bhi dhar na!
Toh Tezi pakdi saanson ne
Bas nafratein hawaon mein
Nai chalna hai saharon pe
Meri ginti ho sitaron mein!
Sawal dhundne lage log in jawabon ne
Ye haske dekhe dub ti kashti inn kinaron se
Haan kismat badalti iradon se, tu jaan le!