Humaray saath maujood hain Salar & Arham Asalam o Alaikum
Arham apka kya role hai iss sari cheez main?
Aisa hai ke main chand cassettes aur bohat saray khawabon ke saath Lahore aaya tha,
Sahiwal se belong karta hoon.
Aise hai hum entrepreneurs hain
aur Shamas-kaari ek aisa platform hai, aisa record label hai.
Hum chahtay hain ke mehnat to logon ki ho, lekin usko rang hum lagayein
or ap zariya bantay hain, karta tou uper wala hai,
hum wo zariya ban'na chahtay hain.
Janiya mere, dil tor key paray
Ranjhana mere, be-abroo paray
dekh bhai, uper walay ne mujhe koi bara studio, aur mehanga instrument nahi diya
Aur jab tak iss main sansien hain main gaaun ga
Aur jab tak ye phone recorder hai main sunaun ga, koi rokay.