Rangon, mulkon, dharmon mein yun batay ho tum ke
Goya ke ye sab sath lekay aye thay
Sadyon ke khoon bahane ka huwa kya hasil
Dolat nafrat ka khayl ye ghinouna kab tak?
Kab tak zulmat ke saamne jhukenge sar
Jaanenge kab, ek noor se banay hain hum or
Zindagi mukhtasar hai to pyar karein
Kyu larein kyu hum apna shikaar karein
Nasl aik, aik rooh tou kyu na shar chor kar
Raasta ishq ka ikhtiyaar karein?
WRITERS
Asfar Hussain, Haider Abbas, Mansoor Lashari, Muqeet Shahzad, Shahrukh Aslam