Kaalay baadlon se chaand yun
Kisko hai zameen pe taakta
Door ik nadi ke shor mein
Manchali hawa mein jhoomti
Raat ye kahay, "aane wali ab subha hai"
Ankhon mein jo roshni hai
Intezaar jiska tha vo hai aagaya
Humsafar qaraar dil ko dila gaya
Ek ehsaas hai, sardiyon ki dhoop si naram
Muntazir hai raah mein khara
Manchali hawa ke dosh pe, rakh ke hum qadam
Ur chalein naye jahan mein
Ankhon mein jo roshni hai
Intezaar jiska tha vo hai aagaya
Humsafar qaraar dil ko dila gaya
WRITERS
Asfar Hussain, Haider Abbas, Mansoor Lashari, Muqueet Shahzad, Shahrukh Aslam