Bhadri hai pagal wo takleef me hasega
Wo har manega tab jab wo tasweer pe lagega
Mujhe tarifo se fark na pade
Mere gaano ki talwar pe wakt ka zang na lage
Me jese pagal vaigyanik akela chitrakaar
Jiski soch vyapari mazdur ke kandhe
To mat puch Mera naam aur wajood
Naam bhadrankar badlaav ka kavitatmak swarup
Ye kalakaar ka gurur gaane tere hathi daant
Mere dost Bina pehne khakhi karte lathi charge
Aati yaad wo bayaan daadi ka
Zarurat ki zarurat paida karti aavishkar
Umar se bade rakhta hoon me khwab
Rehta shant man se baate tere karta Mera kaam
To mujhe fark nai tu kalko meri lash pe thukna
Par ye likhe hue gaane mere dhyan se sunna
Dekhi gotri me marpit aur dosti me raajneeti
Bhai mere Roz sunaate hosh khoke aapbeeti
Mara sir pe patthar jab ladke ne gaali maa ki di
Ye hai nanga sach ye baate kalki shamki thi, tujhe bhukh hai bas gandhi ki
Tum bhi dhyan se itminaan se sun rahe ho sab
Me wo insaan jo itne saal se maang rha hai fal
Jo iktafaq aur iss prakar se pa chuka sabak
Ke ab kul milaake juthbina wo bol sakta hai sach
Jeevan ek acchi thali jo shamshan ne parosi
Karta Roz usse baat me bhagwan ka padosi
Me ek paapi jo hai tujhse jyada wakif
Rakhta khudpe me bharosa to me tujhse jyada dharmik
Chillati Khamoshi ye mehnat mere raaton ki
Gotri Gotri ye duniya tere khwabo ki
Khali jebon me kalakaari hai lakhon ki
Chillati Khamoshi ye mehnat mere raaton ki
Gotri Gotri ye duniya tere khwabo ki
Khali jebon me kalakaari hai lakhon ki