Kar liya Nosh Jis Ne Shahadat Ka Jaam
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Assalam Ya Hussain Assalam Ya Hussain Assalam Ya Hussain
Mere Hussain Tujhe Salaam, Mere Hussain Tujhe Salaam
Jisne Haqq Karbala Me Adaa Kar Diya
Apne Nana Ka Wada Wafa Kar Diya
Sab Kuch Ummat Ki Khaatir Fida Kar Diya
Ghar Ka Ghar Sab Supurd e Khuda Kardiya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam
Mere Hussain Tujhe Salaam, Mere Hussain Tujhe Salaam
Assalam Ya Hussain Assalam Ya Hussain Assalam Ya Hussain
Jisko Ko Dhoke Se Kufe Bulaya Gaya
Or Bula Kar Ke Na Haq Sataya Gaya
Jiske Bachcho Ko Pyasa Rulaya Gaya
Jiski Ki Garden Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam
Mere Hussain Tujhe Salaam, Mere Hussain Tujhe Salaam
Jiska Jannat Se Joda Mangaya Gaya
Jisko Doshe Nabi Par Bithaya Gaya
Zehar Bhai Ko Jiske Pilaya Gya
Jis Ko Teero Se Chalni Karaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Mere Hussain Tujhe Salaam, Mere Hussain Tujhe Salaam
Assalam Ya Hussain Assalam Ya Hussain Assalam Ya Hussain
Kar Chuka Woh Habib Apni Hujjat Tamam
Le Ke Allah Aur Apne Nana Ka Naam
Kufiyon Ko Sunaye Khuda Ke Kalaam
Aur Fida Hogaya ,Shah e Aali Makaam
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Mere Hussain Tujhe Salaam, Mere Hussain Tujhe Salaam