LyricFind Logo
LyricFind Logo
Profile image icon
Lyric cover art

Dabdaba

•

2025

Dabdaba

Apple Music logo
Deezer logo
Spotify logo
Lyrics
Suna pada dekha
Faada khaaya fenka
Ghula mila behka
Gala jala mehka
Daak jis patey ka
Jahaz jis sateh ka
Raaz jis samay ka
Vichaar ek vijeyta
Kumhaar ek racheta
Malaal ek ghade kaa
Hai ched jo risega
Iss ret ki zameen pe
Wo boond kya karega
Wo ghum sa lagega
Mai ret ka ek kand
Wo juwe ki ek fadd
Hum dono hai amar
Koi vishwas kya karega
Dhundne se milta hai khuda
Kab kaha khuda ne ye
Waqt laga chudane mai
Kayarta chupane mai
Kayarta kal aane mai

Dabdaba dararo mai
Har jagah hazaaro mai
Khoon laga khazano mai
Boonde hai sirhano mai, ab jeeke kya karega
Jeetey ji jo kara, wo kya karam mai judega
Abb jeeke kya karega

Kaafi baar mann sahe khuda ki maar
Raakhi baand mann kahe ye dhaaga hai
Paalti maar mann kaha lejata hai
Agli baar , dil ka jutha wada hai
Tumse mila
Tumne kaha
Tumne suna
Bahar ek awaaz
Khaali makaan
Gulaabi diwar
Hawa ki cheekh
Roshni gul
Bijlee ki taar hui seene ke paar mere
Saare din ek jese
Saare jan ek jese
Taara jo tut gaya
Duwa mai kam rehte
Mitti ko ghar kehte
Gharo mai kam rehte
Satya ko dard kehte
Pathhar ko mard kehte

Atti bhi bimari hai
Nashe mai jawani hai
Dikkatein aasan nhi hai
Mazze mai saza bhi hai
Ab jeeke kya karega
Jeetey ji jo kara, wo kya karam mai judega
Abb jeeke kya karega

WRITERS

Kartikey Uniyal

PUBLISHERS

Lyrics © IPRS

Share icon and text

Share


See A Problem With Something?

Lyrics

Other

More From This Album

Lyric cover art

Dabdaba

2025

01

Dabdaba

Soumya Rawat, UNIYAL